bachchon kii tarah waqt bitaane mein lage hain | बच्चों की तरह वक़्त बिताने में लगे हैं

  - Abbas Tabish

bachchon kii tarah waqt bitaane mein lage hain
deewaar pe ham phool banaane mein lage hain

dhone se bhi jaati nahin us haath kii khushboo
ham haath chhudaakar bhi chhudaane mein lage hain

lagta hai wahi din hi guzaare hain tere saath
vo din jo tujhe apna banaane mein lage hain

deewaar ke us paar nahin dekh rahe kya
ye log jo deewaar girane mein lage hain

afsos ki ye shehar jinhen paal raha hai
deemak kii tarah shehar ko khaane mein lage hain

बच्चों की तरह वक़्त बिताने में लगे हैं
दीवार पे हम फूल बनाने में लगे हैं

धोने से भी जाती नहीं उस हाथ की ख़ुशबू
हम हाथ छुड़ाकर भी छुड़ाने में लगे हैं

लगता है वही दिन ही गुज़ारे हैं तेरे साथ
वो दिन जो तुझे अपना बनाने में लगे हैं

दीवार के उस पार नहीं देख रहे क्या
ये लोग जो दीवार गिराने में लगे हैं

अफ़सोस कि ये शहर जिन्हें पाल रहा है
दीमक की तरह शहर को खाने में लगे हैं

  - Abbas Tabish

More by Abbas Tabish

As you were reading Shayari by Abbas Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Abbas Tabish

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari