dame-sukh hi tabiyat lahu lahu ki jaaye
koi to ho ki tiri jisse guftagoo ki jaaye
ye nuqta kate shajar ne mujhe kiya taaleem
ki dukh to milte hain gar khwaahish-e-namoo ki jaaye
qaseeda-kaar-e-azal tujhko etiraaz to nain
kahi kahi se agar zindagi rafu ki jaaye
main ye bhi chahta hoon ishq ka na ho ilzaam
main ye bhi chahta hoon teri aarzoo ki jaaye
mohabbaton mein to shijre kabhi nahin mazzkoor
tu chahta hai ki maslak pe guftagoo ki jaaye
meri tarah se ujadkar basaaein shahre-sukhan
jo naql karne hai meri to hoo-b-hoo ki jaaye
दमे-सुख़न ही तबीयत लहू लहू की जाए
कोई तो हो कि तिरी जिससे गुफ़्तगू की जाए
ये नुक़्ता कटते शजर ने मुझे किया तालीम
कि दुख तो मिलते हैं गर ख़्वाहिश-ए-नमू की जाए
क़सीदा-कार-ए-अज़ल तुझको एतराज़ तो नइँ
कहीं कहीं से अगर ज़िन्दगी रफ़ू की जाए
मैं ये भी चाहता हूँ इश्क़ का न हो इल्ज़ाम
मैं ये भी चाहता हूँ तेरी आरज़ू की जाए
मुहब्बतों में तो शिजरे कभी नहीं मज़्कूर
तू चाहता है कि मसलक पे गुफ़्तगू की जाए
मिरी तरह से उजड़कर बसाएँ शहरे-सुखन
जो नक़्ल करनी है मेरी तो हू-ब-हू की जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abbas Tabish
our suggestion based on Abbas Tabish
As you were reading Dard Shayari Shayari