tu samajhta hai tera hijr gawara karke
baith jaayenge mohabbat se kinaara karke
khudkushi karne nahin di teri aankhon ne mujhe
laut aaya hoon main dariya ka nazaara karke
jee to karta hai use paanv tale raundane ko
chhod deta hoon muqaddar ka sitaara karke
karna ho tark-e-t'alluq to kuchh aise karna
hamko takleef na ho zikr tumhaara karke
isliye usko dilaata hoon main gussa taabish
taaki dekhoon main use aur bhi pyaara karke
तू समझता है तेरा हिज्र गवारा करके
बैठ जाएँगे मोहब्बत से किनारा करके
ख़ुदकुशी करने नहीं दी तेरी आँखों ने मुझे
लौट आया हूँ मैं दरिया का नज़ारा करके
जी तो करता है उसे पाँव तले रौंदने को
छोड़ देता हूँ मुक़द्दर का सितारा करके
करना हो तर्क-ए-त'अल्लुक़ तो कुछ ऐसे करना
हमको तक़लीफ़ न हो ज़िक्र तुम्हारा करके
इसलिए उसको दिलाता हूँ मैं ग़ुस्सा 'ताबिश'
ताकि देखूँ मैं उसे और भी प्यारा करके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abbas Tabish
our suggestion based on Abbas Tabish
As you were reading Aanch Shayari Shayari