ghadi se laakh mehnga to ghadi ka waqt hota hai
jo iski qadr karta hai usi ka waqt hota hai
sitam ye hai ki ham jaise gharibon kii kalaaee mein
ghadi hoti kisi kii hai kisi ka waqt hota hai
yahi vo umr hai jab chaah kar bhi mar nahin sakte
yahi vo umr hai jab khudkushi ka waqt hota hai
unhen kehna ki raaton mein hamein bhi neend aati hai
unhen kehna hamaari naukri ka waqt hota hai
jakad leti hai pairo'n ko hamaare gaav kii mitti
dobaara shehar ko jab waapsi ka waqt hota hai
udaasi lutf lene ko chali aati hai mahlon se
hamaari jhopdi mein jab khushi ka waqt hota hai
घड़ी से लाख महँगा तो घड़ी का वक़्त होता है
जो इसकी क़द्र करता है उसी का वक़्त होता है
सितम ये है कि हम जैसे ग़रीबों की कलाई में
घड़ी होती किसी की है किसी का वक़्त होता है
यही वो उम्र है जब चाह कर भी मर नहीं सकते
यही वो उम्र है जब ख़ुदकुशी का वक़्त होता है
उन्हें कहना कि रातों में हमें भी नींद आती है
उन्हें कहना हमारी नौकरी का वक़्त होता है
जकड़ लेती है पैरों को हमारे गाँव की मिट्टी
दुबारा शहर को जब वापसी का वक़्त होता है
उदासी लुत्फ़ लेने को चली आती है महलों से
हमारी झोपड़ी में जब ख़ुशी का वक़्त होता है
As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi
our suggestion based on Aditya Singh aadi
As you were reading undefined Shayari