vo nazar yaad hai nazaara bhi | वो नज़र याद है नज़ारा भी

  - Aditya Singh aadi

vo nazar yaad hai nazaara bhi
teri aankhen tera ishaara bhi

zehan mein nafratein bhi qaaim hain
lab pe insaaniyat ka naara bhi

been kab tak bajaayega pagle
khol de saanp ka pitaara bhi

ishq ke jis maqaam par main hoon
tu gawara hai naa-gawaara bhi

kaash ganga mein mil gai hoti
aadmi kii vichaar dhaara bhi

saal ka aakhiri mahina hai
aakhiri saal hai hamaara bhi

ik na ik din tumhein bhi jaana hai
zindagi naam hai tumhaara bhi

वो नज़र याद है नज़ारा भी
तेरी आँखें तेरा इशारा भी

ज़ेहन में नफ़रतें भी क़ाएम हैं
लब पे इन्सानियत का नारा भी

बीन कब तक बजाएगा पगले
खोल दे सांँप का पिटारा भी

इश्क़ के जिस मक़ाम पर मैं हूँ
तू गवारा है ना-गवारा भी

काश गंगा में मिल गई होती
आदमी की विचार धारा भी

साल का आख़िरी महीना है
आख़िरी साल है हमारा भी

इक न इक दिन तुम्हें भी जाना है
ज़िंदगी नाम है तुम्हारा भी

  - Aditya Singh aadi

More by Aditya Singh aadi

As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi

Similar Writers

our suggestion based on Aditya Singh aadi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari