hazrat-e-qais khitaabat ke liye aayenge
ham tire shehar mohabbat ke liye aayenge
ham to roenge isi soch mein paagal hokar
haal poochhenge tabiyat ke liye aayenge
rak's karte the tumhein pa ke magar kya haasil
kya khabar aap naseehat ke liye aayenge
laut aaye bhi agar aap hamaari jaanib
haan faqat apni zaroorat ke liye aayenge
zulm ke aap tarafdhaar nazar aate hain
aap aayenge hukoomat ke liye aayenge
jis tarah chaal chali aapne ham par zalim
saaf lagta hai shikaayat ke liye aayenge
teri chaukhat pe kabhi aa bhi gaye yaad rahe
bas dua aur ibadat ke liye aayenge
baad marne ke bhi gussa hai vo mujhse afzal
hamne bola tha ziyaarat ke liye aayenge
हज़रत-ए-क़ैस ख़िताबत के लिए आऍंगे
हम तिरे शहर मोहब्बत के लिए आऍंगे
हम तो रोएँगे इसी सोच में पागल होकर
हाल पूछेंगे तबीयत के लिए आऍंगे
रक़्स करते थे तुम्हें पा के मगर क्या हासिल
क्या ख़बर आप नसीहत के लिए आऍंगे
लौट आए भी अगर आप हमारी जानिब
हाँ फ़क़त अपनी ज़रूरत के लिए आऍंगे
ज़ुल्म के आप तरफ़दार नज़र आते हैं
आप आएँगे हुकूमत के लिए आऍंगे
जिस तरह चाल चली आपने हम पर ज़ालिम
साफ़ लगता है शिकायत के लिए आऍंगे
तेरी चौखट पे कभी आ भी गए याद रहे
बस दुआ और इबादत के लिए आऍंगे
बाद मरने के भी ग़ुस्सा है वो मुझसे 'अफ़ज़ल'
हमने बोला था ज़ियारत के लिए आऍंगे
As you were reading Shayari by Afzal Sultanpuri
our suggestion based on Afzal Sultanpuri
As you were reading undefined Shayari