hamaari jaan ke qaateel hazaaron hain zamaane mein
na jaane kyun maza aaye hamaara dil dukhaane mein
duaon mein padhi aayat hamesha se mohabbat ki
sukoon milta nahin hamko yahaan rab ko manaane mein
mujhe haasil hua jo kuchh mere rab ki inaayat hai
magar aaya maza hamko yahaan sab kuchh ganwaane mein
badi hasrat hamaari thi magar ham haar kar baithe
saha kya kuchh yahaan hamne abhi tak dostaane mein
हमारी जान के क़ातिल हज़ारों हैं ज़माने में
न जाने क्यूँ मज़ा आए हमारा दिल दुखाने में
दुआओं में पढ़ी आयत हमेशा से मोहब्बत की
सुकूँ मिलता नहीं हमको यहांँ रब को मनाने में
मुझे हासिल हुआ जो कुछ मिरे रब की इनायत है
मगर आया मज़ा हमको यहांँ सब कुछ गँवाने में
बड़ी हसरत हमारी थी मगर हम हार कर बैठे
सहा क्या कुछ यहांँ हमने अभी तक दोस्ताने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Sultanpuri
our suggestion based on Afzal Sultanpuri
As you were reading Haar Shayari Shayari