hai ek laash kii soorat padi hui duniya | है एक लाश की सूरत पड़ी हुई दुनिया

  - Ameer Imam

hai ek laash kii soorat padi hui duniya
saleeb-e-waqt ke oopar jadi hui duniya

ham aise log hi khuraak the sada iski
hamaare khoon ko peekar badi hui duniya

tamaam umr bhi daudo na haath aayegi
ajeeb shay hai ye saakit khadi hui duniya

har ek shakhs hai peechhe pada hua iske
har ek shakhs ke peechhe padi hui duniya

jadeed sher kii soorat jadeed shaair ke
jadeed hone kii zid par adi hui duniya

haseen ladkiyaan khushbuoen chaandni raatein
aur inke baad bhi aisi sadri hui duniya

ameer imaam ne kude mein fenk di kab kii
jise talab ho utha le padi hui duniya

है एक लाश की सूरत पड़ी हुई दुनिया
सलीब-ए-वक़्त के ऊपर जड़ी हुई दुनिया

हम ऐसे लोग ही ख़ुराक थे सदा इसकी
हमारे ख़ून को पी कर बड़ी हुई दुनिया

तमाम उम्र भी दौड़ो न हाथ आएगी
अजीब शय है ये साकित खड़ी हुई दुनिया

हर एक शख़्स है पीछे पड़ा हुआ इसके
हर एक शख़्स के पीछे पड़ी हुई दुनिया

जदीद शेर की सूरत जदीद शाइर के
जदीद होने की ज़िद पर अड़ी हुई दुनिया

हसीन लड़कियाँ ख़ुशबूएँ चाँदनी रातें
और इनके बाद भी ऐसी सड़ी हुई दुनिया

'अमीर इमाम' ने कूड़े में फेंक दी कब की
जिसे तलब हो उठा ले पड़ी हुई दुनिया

  - Ameer Imam

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari