un ko khala mein koi nazar aana chahiye | उन को ख़ला में कोई नज़र आना चाहिए

  - Ameer Imam

un ko khala mein koi nazar aana chahiye
aankhon ko toote khwaab ka harjaana chahiye

vo kaam rah ke karna pada shehar mein hamein
majnoon ko jis ke vaaste veeraana chahiye

is zakhm-e-dil pe aaj bhi surkhi ko dekh kar
itra rahe hain ham hamein itrana chahiye

tanhaaiyon pe apni nazar kar zara kabhi
ai bewaqoof dil tujhe ghabraana chahiye

hai hijr to kebab na khaane se kya usool
gar ishq hai to kya hamein mar jaana chahiye

danaaiyan bhi khoob hain lekin agar mile
dhokha haseen sa to use khaana chahiye

beete dinon ki koi nishaani to saath ho
jaan-e-haya tumhein zara sharmaana chahiye

is shaay'ri mein kuchh nahin naqqaad ke liye
dildaar chahiye koi deewaana chahiye

उन को ख़ला में कोई नज़र आना चाहिए
आँखों को टूटे ख़्वाब का हर्जाना चाहिए

वो काम रह के करना पड़ा शहर में हमें
मजनूँ को जिस के वास्ते वीराना चाहिए

इस ज़ख़्म-ए-दिल पे आज भी सुर्ख़ी को देख कर
इतरा रहे हैं हम हमें इतराना चाहिए

तन्हाइयों पे अपनी नज़र कर ज़रा कभी
ऐ बेवक़ूफ़ दिल तुझे घबराना चाहिए

है हिज्र तो कबाब न खाने से क्या उसूल
गर इश्क़ है तो क्या हमें मर जाना चाहिए

दानाइयाँ भी ख़ूब हैं लेकिन अगर मिले
धोखा हसीन सा तो उसे खाना चाहिए

बीते दिनों की कोई निशानी तो साथ हो
जान-ए-हया तुम्हें ज़रा शर्माना चाहिए

इस शाइ'री में कुछ नहीं नक़्क़ाद के लिए
दिलदार चाहिए कोई दीवाना चाहिए

  - Ameer Imam

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari