ye kaar-e-zindagi tha to karna pada mujhe
khud ko sametne mein bikhrna pada mujhe
phir khwahishon ko koi saraaye na mil saki
ik aur raat khud mein theharna pada mujhe
mahfooz khaamoshi ki panahon mein tha magar
goonji ik aisi cheekh ki darna pada mujhe
is baar raah-e-ishq kuchh itni taveel thi
us ke badan se ho ke guzarna pada mujhe
poori ameer imaam ki tasveer jab hui
us mein lahu ka rang bhi bharna pada mujhe
ये कार-ए-ज़िंदगी था तो करना पड़ा मुझे
ख़ुद को समेटने में बिखरना पड़ा मुझे
फिर ख़्वाहिशों को कोई सराए न मिल सकी
इक और रात ख़ुद में ठहरना पड़ा मुझे
महफ़ूज़ ख़ामुशी की पनाहों में था मगर
गूँजी इक ऐसी चीख़ कि डरना पड़ा मुझे
इस बार राह-ए-इश्क़ कुछ इतनी तवील थी
उस के बदन से हो के गुज़रना पड़ा मुझे
पूरी अमीर इमाम की तस्वीर जब हुई
उस में लहू का रंग भी भरना पड़ा मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Festive Shayari Shayari