chalte chalte ye gali be-jaan hoti jaayegi | चलते चलते ये गली बे-जान होती जाएगी

  - Ameer Imam

chalte chalte ye gali be-jaan hoti jaayegi
raat hoti jaayegi sunsaan hoti jaayegi

dekhna kya hai nazar-andaaz karna hai kise
manzaron ki khud-b-khud pehchaan hoti jaayegi

us ke chehre par musalsal aankh ruk sakti nahin
aankh baar-e-husn se halkaan hoti jaayegi

soch lo ye dil-lagi bhari na pad jaaye kahi
jaan jis ko kah rahe ho jaan hoti jaayegi

kar hi kya sakti hai duniya aur tujh ko dekh kar
dekhti jaayegi aur hairaan hoti jaayegi

kaakul-e-khamdaar mein kham aur aate jaayenge
zulf us ki aur bhi shaitaan hoti jaayegi

aate aate ishq karne ka hunar aa jaayega
rafta-rafta zindagi aasaan hoti jaayegi

ja chuki khushiyaan to ab gham hijraten karne lage
dil ki basti is tarah veeraan hoti jaayegi

चलते चलते ये गली बे-जान होती जाएगी
रात होती जाएगी सुनसान होती जाएगी

देखना क्या है नज़र-अंदाज़ करना है किसे
मंज़रों की ख़ुद-ब-ख़ुद पहचान होती जाएगी

उस के चेहरे पर मुसलसल आँख रुक सकती नहीं
आँख बार-ए-हुस्न से हलकान होती जाएगी

सोच लो ये दिल-लगी भारी न पड़ जाए कहीं
जान जिस को कह रहे हो जान होती जाएगी

कर ही क्या सकती है दुनिया और तुझ को देख कर
देखती जाएगी और हैरान होती जाएगी

काकुल-ए-ख़मदार में ख़म और आते जाएँगे
ज़ुल्फ़ उस की और भी शैतान होती जाएगी

आते आते इश्क़ करने का हुनर आ जाएगा
रफ़्ता-रफ़्ता ज़िंदगी आसान होती जाएगी

जा चुकीं ख़ुशियाँ तो अब ग़म हिजरतें करने लगे
दिल की बस्ती इस तरह वीरान होती जाएगी

  - Ameer Imam

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari