in ko khala mein koi nazar aana chahiye | इन को ख़ला में कोई नज़र आना चाहिए

  - Ameer Imam

in ko khala mein koi nazar aana chahiye
aankhon ko toote khwaab ka harjaana chahiye

vo kaam rah ke shehar mein karna pada hamein
majnoon ko jis ke vaaste veeraana chahiye

hai hijr to kebab na khaane se kya husool
gar ishq hai to kya hamein mar jaana chahiye

is zakhm-e-dil pe aaj bhi surkhi ko dekh kar
itra rahe hain ham hamein itrana chahiye

danaaiyan bhi khoob hain lekin agar mile
dhoka haseen sa to use khaana chahiye

tanhaaiyon pe apni nazar kar zara kabhi
ai bewaqoof dil tujhe ghabraana chahiye

is shaay'ri mein kuchh nahin naqqaad ke liye
dildaar chahiye koi deewaana chahiye

इन को ख़ला में कोई नज़र आना चाहिए
आँखों को टूटे ख़्वाब का हर्जाना चाहिए

वो काम रह के शहर में करना पड़ा हमें
मजनूँ को जिस के वास्ते वीराना चाहिए

है हिज्र तो कबाब न खाने से क्या हुसूल
गर इश्क़ है तो क्या हमें मर जाना चाहिए

इस ज़ख़्म-ए-दिल पे आज भी सुर्ख़ी को देख कर
इतरा रहे हैं हम हमें इतराना चाहिए

दानाइयाँ भी ख़ूब हैं लेकिन अगर मिले
धोका हसीन सा तो उसे खाना चाहिए

तन्हाइयों पे अपनी नज़र कर ज़रा कभी
ऐ बेवक़ूफ़ दिल तुझे घबराना चाहिए

इस शाइ'री में कुछ नहीं नक़्क़ाद के लिए
दिलदार चाहिए कोई दीवाना चाहिए

  - Ameer Imam

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari