rudaad-e-jaan kahein jo zara dam mile humein | रूदाद-ए-जाँ कहें जो ज़रा दम मिले हमें - Ameer Imam

rudaad-e-jaan kahein jo zara dam mile humein
us dil ke raaste mein kai kham mile humein

labbaik pehle hum ne kaha tha rasool-e-husn
ho kaar-zaar-e-ishq to parcham mile humein

aaye ik aisa zakham jo bharna na ho kabhi
ya'ni har ek zakham ka marham mile humein

din mein jahaan saraab mile the humein wahan
aayi jo raat qatra-e-shabnam mile humein

tum jaise aur log bhi honge jahaan mein
ye baat aur hai ki bahut kam mile humein

jab saath the to mil ke bhi milna na ho saka
jab se bichhad gaye ho to paiham mile humein

aur phir humein bhi khud pe bahut pyaar aa gaya
us ki taraf khade hue jab hum mile humein

jo umr-bhar ka saath nibhaata na mil saka
vaise to zindagi mein bahut gham mile humein

रूदाद-ए-जाँ कहें जो ज़रा दम मिले हमें
उस दिल के रास्ते में कई ख़म मिले हमें

लब्बैक पहले हम ने कहा था रसूल-ए-हुस्न
हो कार-ज़ार-ए-इश्क़ तो परचम मिले हमें

आए इक ऐसा ज़ख़्म जो भरना न हो कभी
या'नी हर एक ज़ख़्म का मरहम मिले हमें

दिन में जहाँ सराब मिले थे हमें वहाँ
आई जो रात क़तरा-ए-शबनम मिले हमें

तुम जैसे और लोग भी होंगे जहान में
ये बात और है कि बहुत कम मिले हमें

जब साथ थे तो मिल के भी मिलना न हो सका
जब से बिछड़ गए हो तो पैहम मिले हमें

और फिर हमें भी ख़ुद पे बहुत प्यार आ गया
उस की तरफ़ खड़े हुए जब हम मिले हमें

जो उम्र-भर का साथ निभाता न मिल सका
वैसे तो ज़िंदगी में बहुत ग़म मिले हमें

- Ameer Imam
3 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari