yun mere hone ko mujh par aashkaar us ne kiya | यूँ मिरे होने को मुझ पर आश्कार उस ने किया

  - Ameer Imam

yun mere hone ko mujh par aashkaar us ne kiya
mujh mein poshida kisi dariya ko paar us ne kiya

pehle sehra se mujhe laaya samundar ki taraf
naav par kaaghaz ki phir mujh ko sawaar us ne kiya

main tha ik awaaz mujh ko khaamoshi se tod kar
kirchiyon ko der tak meri shumaar us ne kiya

din chadha to dhoop ki mujh ko saleeben de gaya
raat aayi to mere bistar ko daar us ne kiya

jis ko us ne raushni samjha tha meri dhoop thi
shaam hone ka meri phir intizaar us ne kiya

der tak bunta raha aankhon ke karghe par mujhe
bun gaya jab main to mujh ko taar taar us ne kiya

यूँ मिरे होने को मुझ पर आश्कार उस ने किया
मुझ में पोशीदा किसी दरिया को पार उस ने किया

पहले सहरा से मुझे लाया समुंदर की तरफ़
नाव पर काग़ज़ की फिर मुझ को सवार उस ने किया

मैं था इक आवाज़ मुझ को ख़ामुशी से तोड़ कर
किर्चियों को देर तक मेरी शुमार उस ने किया

दिन चढ़ा तो धूप की मुझ को सलीबें दे गया
रात आई तो मिरे बिस्तर को दार उस ने किया

जिस को उस ने रौशनी समझा था मेरी धूप थी
शाम होने का मिरी फिर इंतिज़ार उस ने किया

देर तक बुनता रहा आँखों के करघे पर मुझे
बुन गया जब मैं तो मुझ को तार तार उस ने किया

  - Ameer Imam

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari