madhham hui to aur nikhrati chali gai | मद्धम हुई तो और निखरती चली गई

  - Ameer Imam

madhham hui to aur nikhrati chali gai
zinda hai ek yaad jo marti chali gai

thi zindagi ki misl shab-e-hijr dosto
aur zindagi ki misl guzarti chali gai

ham se yahan to kuchh bhi sameta na ja saka
ham se har ek cheez bikhrti chali gai

aaye the chand zakham guzar-gaah-e-waqt par
guzri hawa-e-waqt to bharti chali gai

ik ashk qahqahon se guzarta chala gaya
ik cheekh khaamoshi mein utarti chali gai

har rang ek rang se ham-rang ho gaya
tasveer zindagi ki ubharti chali gai

मद्धम हुई तो और निखरती चली गई
ज़िंदा है एक याद जो मरती चली गई

थी ज़िंदगी की मिस्ल शब-ए-हिज्र दोस्तो
और ज़िंदगी की मिस्ल गुज़रती चली गई

हम से यहाँ तो कुछ भी समेटा न जा सका
हम से हर एक चीज़ बिखरती चली गई

आए थे चंद ज़ख़्म गुज़र-गाह-ए-वक़्त पर
गुज़री हवा-ए-वक़्त तो भरती चली गई

इक अश्क क़हक़हों से गुज़रता चला गया
इक चीख़ ख़ामुशी में उतरती चली गई

हर रंग एक रंग से हम-रंग हो गया
तस्वीर ज़िंदगी की उभरती चली गई

  - Ameer Imam

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari