chhup jaata hai phir suraj jis waqt nikalta hai
koi in aankhon mein saari raat tahalta hai
champai subhen peeli do-pahrein surmai shaamen
din dhalne se pehle kitne rang badalta hai
din mein dhoopein ban kar jaane kaun sulagta tha
raat mein shabnam ban kar jaane kaun pighlata hai
khaamoshi ke nakhun se chil jaaya karte hain
koi phir in zakhamon par aawaazen malta hai
raat ugalta rehta hai vo ek bada saaya
chhote chhote saaye jo har shaam nigalta hai
छुप जाता है फिर सूरज जिस वक़्त निकलता है
कोई इन आँखों में सारी रात टहलता है
चम्पई सुब्हें पीली दो-पहरें सुरमई शामें
दिन ढलने से पहले कितने रंग बदलता है
दिन में धूपें बन कर जाने कौन सुलगता था
रात में शबनम बन कर जाने कौन पिघलता है
ख़ामोशी के नाख़ुन से छिल जाया करते हैं
कोई फिर इन ज़ख़्मों पर आवाज़ें मलता है
रात उगलता रहता है वो एक बड़ा साया
छोटे छोटे साए जो हर शाम निगलता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Shaam Shayari Shayari