ban ke saaya hi sahi saath to hoti hogi | बन के साया ही सही सात तो होती होगी

  - Ameer Imam

ban ke saaya hi sahi saath to hoti hogi
kam se kam tujh mein tiri zaat to hoti hogi

ye alag baat koi chaand ubharta na ho ab
dil ki basti mein magar raat to hoti hogi

dhoop mein kaun kise yaad kiya karta hai
par tire shehar mein barsaat to hoti hogi

ham to sehra mein hain tum log sunaao apni
shehar se roz mulaqaat to hoti hogi

kuchh bhi ho jaaye magar tere taraf-daar hain sab
zindagi tujh mein koi baat to hoti hogi

बन के साया ही सही सात तो होती होगी
कम से कम तुझ में तिरी ज़ात तो होती होगी

ये अलग बात कोई चाँद उभरता न हो अब
दिल की बस्ती में मगर रात तो होती होगी

धूप में कौन किसे याद किया करता है
पर तिरे शहर में बरसात तो होती होगी

हम तो सहरा में हैं तुम लोग सुनाओ अपनी
शहर से रोज़ मुलाक़ात तो होती होगी

कुछ भी हो जाए मगर तेरे तरफ़-दार हैं सब
ज़िंदगी तुझ में कोई बात तो होती होगी

  - Ameer Imam

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari