ro ke kuchh der sambhal jaate hain | रो के कुछ देर सँभल जाते हैं

  - Anjali Sahar

ro ke kuchh der sambhal jaate hain
ashk udaasi ko baha laate hain

baat dil kii nahin kah paati zabaan
ashk barwaqt chale aate hain

hamein maaloom nahin kuchh bhi abhi
hai kidhar aur kidhar jaate hain

daaimi dukh nahin hota koii
zakhm kaise bhi hon bhar jaate hain

dil mein baste hain ghamon ke aaseb
aur nagmein khushi ke gaate hain

is jahaan kii hai yahi reet sehar
log aate hain chale jaate hain

रो के कुछ देर सँभल जाते हैं
अश्क उदासी को बहा लाते हैं

बात दिल की नहीं कह पाती ज़बाँ
अश्क बरवक़्त चले आते हैं

हमें मालूम नहीं कुछ भी अभी
है किधर और किधर जाते हैं

दाइमी दुख नहीं होता कोई
ज़ख़्म कैसे भी हों भर जाते हैं

दिल में बसते हैं ग़मों के आसेब
और नग़्में ख़ुशी के गाते हैं

इस जहाँ की है यही रीत सहर
लोग आते हैं चले जाते हैं

  - Anjali Sahar

More by Anjali Sahar

As you were reading Shayari by Anjali Sahar

Similar Writers

our suggestion based on Anjali Sahar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari