ham hain chadhte hue dariya mein utarne waale
ham kahaan tez hawaon se hain darne waale
laut kar aaye koi kuchh to khabar ho hamko
kis jahaan ko chale jaate hain ye marne waale
sau dafa gir ke uthe uth ke chale hain so ham
sakhti-e-raah se hargiz nahin darne waale
aap jaise to kai dekhe hain hamne lekin
aap se badh ke nahin dekhe mukarne waale
tum na ziddi ho na khud sar na koi sabr-o-zabt
aise hote hain bhala had se guzarne waale
हम हैं चढ़ते हुए दरिया में उतरने वाले
हम कहाँ तेज़ हवाओं से हैं डरने वाले
लौट कर आए कोई कुछ तो ख़बर हो हमको
किस जहाँ को चले जाते हैं ये मरने वाले
सौ दफ़ा गिर के उठे, उठ के चले हैं सो हम
सख़्ती-ए-राह से हरगिज़ नहीं डरने वाले
आप जैसे तो कई देखे हैं हमने लेकिन
आप से बढ़ के नहीं देखे मुकरने वाले
तुम न ज़िद्दी हो न ख़ुद सर न कोई सब्र-ओ-ज़ब्त
ऐसे होते हैं भला हद से गुज़रने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anjali Sahar
our suggestion based on Anjali Sahar
As you were reading Samundar Shayari Shayari