jis tarah ho gaye jungle khaamosh
ho rahi hoon main musalsal khaamosh
mujh mein baaki nahin chingaari bhi
aag honi hi thi jal jal khaamosh
khaas waqton mein chhalk jaati hoon main
dariya rehta nahin har pal khaamosh
aur taakheer na kar aane mein
ho na jaaun main mukammal khaamosh
kaun aakhir tujhe samjhaaye sehar
aise rote nahin paagal khaamosh
जिस तरह हो गए जंगल ख़ामोश
हो रही हूँ मैं मुसलसल ख़ामोश
मुझ में बाक़ी नहीं चिंगारी भी
आग होनी ही थी जल जल ख़ामोश
ख़ास वक़्तों में छलक जाती हूँ मैं
दरिया रहता नहीं हर पल ख़ामोश
और ताख़ीर न कर आने में
हो न जाऊँ मैं मुकम्मल ख़ामोश
कौन आख़िर तुझे समझाए 'सहर'
ऐसे रोते नहीं, पागल, ख़ामोश
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anjali Sahar
our suggestion based on Anjali Sahar
As you were reading Paani Shayari Shayari