ghazab ka dil pe lagaaya gaya nishaana bhi
padega ishq mein bhari ye jaan bachaana bhi
chalo ye theek hai do chaar din chhupaana bhi
magar hai ishq kisi se to phir jataana bhi
shab-e-visaal hai parda na keejiye hamse
amaan yun theek nahin hai nazar churaana bhi
ye raaz bhookhe parindon ko kaun samjhaaye
wahin pe maut khadi hai jidhar hai daana bhi
vo jiski neev mein shaamil lahu hamaara hai
nahin hai ham ko usi ghar mein ik thikaana bhi
tamaam umr ganwaane ke baad jaana hai
ye zindagi to haqeeqat bhi hai fasana bhi
mufaailun faylaatun mufaailun failun
nahin hai sahal ghazal mein ye sar khapaana bhi
ghazal ghazal hai taraana nahin mazaahib ka
gali gali mein nahin is ka ilm-khaan bhi
jahaan-e-sher-o-sukhan mein hain laakh peer magar
kisi se kam to nahin daag ka gharaana bhi
sukoon se jee na sake ham na mar sake saahil
pada hai ishq mein bhari ye dil lagana bhi
ग़ज़ब का दिल पे लगाया गया निशाना भी
पड़ेगा इश्क़ में भारी ये जाँ बचाना भी
चलो ये ठीक है दो चार दिन छुपाना भी
मगर है इश्क़ किसी से तो फिर जताना भी
शब-ए-विसाल है पर्दा न कीजिये हमसे
अमाँ यूँ ठीक नहीं है नज़र चुराना भी
ये राज़ भूखे परिंदों को कौन समझाए
वहीं पे मौत खड़ी है जिधर है दाना भी
वो जिसकी नींव में शामिल लहू हमारा है
नहीं है हम को उसी घर में इक ठिकाना भी
तमाम उम्र गँवाने के बाद जाना है
ये ज़िंदगी तो हक़ीक़त भी है फ़साना भी
मुफ़ायलुन फ़यलातुन मुफ़ायलुन फ़ैलुन
नहीं है सहल ग़ज़ल में ये सर खपाना भी
ग़ज़ल ग़ज़ल है तराना नहीं मज़ाहिब का
गली गली में नहीं इस का इल्म-ख़ाना भी
जहान-ए-शेर-ओ-सुख़न में हैं लाख पीर मगर
किसी से कम तो नहीं दाग़ का घराना भी
सुकूँ से जी न सके हम न मर सके साहिल
पड़ा है इश्क़ में भारी ये दिल लगाना भी
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading undefined Shayari