jab bhi maazi mein khota hai
deewaana toot ke rota hai
sab khushiyaan khwaab hui jaise
din raat yahan dil rota hai
dekho to meri paamaali par
dil kya patthar bhi rota hai
ham chand dinon mein seekh gaye
is ishq mein kya kya hota hai
khushiyon ko baantne waala hi
khud dard ghamon ke dhota hai
patthar aqlon par padte hain
aisa hi ishq mein hota hai
dil is duniya se oob gaya
vo goli kha kar sota hai
rah rah kar ashkon ka chashma
dil ke zakhamon ko dhota hai
hone lagta hai heart attack
jab zikr-e-ghazaala hota hai
ab fasl-e-ishq nahin ugati
kyun beej wafa ke bota hai
is naam-e-ishq ko chhod is se
ab gham mein izafa hota hai
saahil hai yahi marzi-e-khuda
har pal kyun rona rota hai
जब भी माज़ी में खोता है
दीवाना टूट के रोता है
सब ख़ुशियाँ ख़्वाब हुईं जैसे
दिन रात यहाँ दिल रोता है
देखो तो मेरी पामाली पर
दिल क्या पत्थर भी रोता है
हम चंद दिनों में सीख गए
इस इश्क़ में क्या क्या होता है
ख़ुशियों को बाँटने वाला ही
ख़ुद दर्द ग़मों के ढोता है
पत्थर अक़्लों पर पड़ते हैं
ऐसा ही इश्क़ में होता है
दिल इस दुनिया से ऊब गया
वो गोली खा कर सोता है
रह रह कर अश्कों का चश्मा
दिल के ज़ख़्मों को धोता है
होने लगता है हार्ट अटैक
जब ज़िक्र-ए-ग़ज़ाला होता है
अब फ़स्ल-ए-इश्क़ नहीं उगती
क्यों बीज वफ़ा के बोता है
इस नाम-ए-इश्क़ को छोड़ इस से
अब ग़म में इज़ाफ़ा होता है
साहिल है यही मर्ज़ी-ए-ख़ुदा
हर पल क्यों रोना रोता है
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading undefined Shayari