kabhi piyega jo aansuon kii sharaab kaaghaz | कभी पिएगा जो आँसुओं की शराब काग़ज़

  - A R Sahil "Aleeg"

kabhi piyega jo aansuon kii sharaab kaaghaz
bataaega tab mere ghamon ka hisaab kaaghaz

kabhi banaate the kaaghzon par gulaab ham bhi
bichhad ke lagta hai tujh se ab to gulaab kaaghaz

tumhaare khat ka kai baras se yun muntazir hoon
ho jaise mera baqaya bas ik hi khwaab kaaghaz

main kis se poochoon pata tumhaara ki ajnabi hoon
har ek insaan poochta hai janab kaaghaz

dabaye zikr-e-wafaa pade the daraaz mein jo
jala diye hain main ne vo saare kitaab kaaghaz

tumhaari yaadon kii hai ye album lahu se tar yun
ki kaaghzon ka kebab hain ya kebab kaagaz

kharaab karne se kaaghzon ko na sher hoga
kiye hai phir bhi main ne musalsal kharaab kaaghaz

ye naav saahil pe doob jaayegi dekh lena
na jhel paayega lehron ke taish-o-taab kaagaz

कभी पिएगा जो आँसुओं की शराब काग़ज़
बताएगा तब मेरे ग़मों का हिसाब काग़ज़

कभी बनाते थे काग़ज़ों पर गुलाब हम भी
बिछड़ के लगता है तुझ से अब तो गुलाब काग़ज़

तुम्हारे ख़त का कई बरस से यूँ मुंतज़िर हूँ
हो जैसे मेरा बक़ाया बस इक ही ख़्वाब काग़ज़

मैं किस से पूछूँ पता तुम्हारा कि अजनबी हूँ
हर एक इंसान पूछता है जनाब काग़ज़

दबाए ज़िक्र-ए-वफ़ा पड़े थे दराज़ में जो
जला दिए हैं मैं ने वो सारे किताब काग़ज़

तुम्हारी यादों की है ये एलबम लहू से तर यूँ
कि काग़ज़ों का कबाब हैं या कबाब कागज़

ख़राब करने से काग़ज़ों को न शेर होगा
किए है फिर भी मैं ने मुसलसल ख़राब काग़ज़

ये नाव साहिल पे डूब जाएगी देख लेना
न झेल पाएगा लहरों के तैश-ओ-ताब कागज़

  - A R Sahil "Aleeg"

More by A R Sahil "Aleeg"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari