phool jannat ka hai ye aur hai rahmat beti | फूल जन्नत का है ये और है रहमत बेटी - A R Sahil "Alig"

phool jannat ka hai ye aur hai rahmat beti
jo nawaazi hai khuda ne hai vo nemat beti

main ne allah se beta nahin maanga lekin
sirf khwaahish ye rahi ho meri daulat beti

paanv rakhne do zameen par na karo kokh mein qatl
tumko tohfe mein ata karti hai qudrat beti

jis se koyal bhi lajaaye ho moattar aangan
apni aawaaz mein rakhti hai vo lazzat beti

koii shikwa na shikaayat na koii farmaaish
bas samajh jaati hai maa baap kii haalat beti

apne maa-baap ka sar jhukne nahin deti hai
badh ke beton se kahin rakhti hai izzat beti

laakh mushkil mein rahe phir bhi palat kar maa se
apne sasuraal kii karti na mafaailaatun beti

har qadam baar-e-sitam ranj-o-alam aur vehshat
dhoondhti rahti hai ye phir bhi mohabbat beti

mujhko saahil yun laga ghar kii giri ho deewaar
ghar se jab hone lagi doli mein rukhsat beti

फूल जन्नत का है ये और है रहमत बेटी
जो नवाज़ी है ख़ुदा ने है वो नेमत बेटी

मैं ने अल्लाह से बेटा नहीं माँगा लेकिन
सिर्फ़ ख़्वाहिश ये रही हो मेरी दौलत बेटी

पाँव रखने दो ज़मीं पर न करो कोख में क़त्ल
तुमको तोहफ़े में अता करती है क़ुदरत बेटी

जिस से कोयल भी लजाए हो मोअत्तर आँगन
अपनी आवाज़ में रखती है वो लज़्ज़त बेटी

कोई शिकवा न शिकायत न कोई फ़रमाइश
बस समझ जाती है माँ बाप की हालत बेटी

अपने माँ-बाप का सर झुकने नहीं देती है
बढ़ के बेटों से कहीं रखती है इज़्ज़त बेटी

लाख मुश्किल में रहे फिर भी पलट कर माँ से
अपने ससुराल की करती न शिक़ायत बेटी

हर क़दम बार-ए-सितम रंज-ओ-अलम और वहशत
ढूँढती रहती है ये फिर भी मोहब्बत बेटी

मुझको साहिल यूँ लगा घर की गिरी हो दीवार
घर से जब होने लगी डोली में रुख़्सत बेटी

- A R Sahil "Alig"
0 Likes

More by A R Sahil "Alig"

As you were reading Shayari by A R Sahil "Alig"

Similar Writers

our suggestion based on A R Sahil "Alig"

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari