har ek baat pe sau sau sawaal karte hain
huzoor aap to sachmuch kamaal karte hain
zara sii baat hai ik dil ka toot jaana aur
zara sii baat ka itna malaal karte hain
vo paas aaye to mar jaaunga khuda kii qasam
jo itni door se jeena muhaal karte hain
humeen se ek milaate nahin nazar lekin
vo is karam se zamaana nihaal karte hain
vo bewafa nahin banta tumhaara hota agar
to kyun firaq mein aankhon ko laal karte hain
ye raaz khulta hai ik din jahaan ke aage
jo log kuchh nahin karte kamaal karte hain
chala-chala ke vo aankhon ke teer ai saahil
yahan shikaar har ik soo ghazal karte hain
हर एक बात पे सौ सौ सवाल करते हैं
हुज़ूर आप तो सचमुच कमाल करते हैं
ज़रा सी बात है इक दिल का टूट जाना और
ज़रा सी बात का इतना मलाल करते हैं
वो पास आए तो मर जाऊँगा ख़ुदा की क़सम
जो इतनी दूर से जीना मुहाल करते हैं
हमीं से एक मिलाते नहीं नज़र लेकिन
वो इस करम से ज़माना निहाल करते हैं
वो बेवफ़ा नहीं बनता तुम्हारा होता अगर
तो क्यों फ़िराक़ में आँखों को लाल करते हैं
ये राज़ खुलता है इक दिन जहान के आगे
जो लोग कुछ नहीं करते कमाल करते हैं
चला-चला के वो आँखों के तीर ऐ साहिल
यहाँ शिकार हर इक सू ग़ज़ाल करते हैं
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading undefined Shayari