hashr sa barpa hai har soo roz-e-mahshar ke baghair | हश्र सा बरपा है हर सू रोज़-ए-महशर के बग़ैर - Dharmesh bashar

hashr sa barpa hai har soo roz-e-mahshar ke baghair
baat tak karta na koii teg-o-khanjar ke baghair

inqilaabi hausla hai par wasila kuchh nahin
hain gulelen haath mein lekin hain kankar ke baghair

ab ye din dikhla rahi hain hamko faqaa mastiyaan
the kabhi ghar se pareshaan aur ab ghar ke baghair

shaam hote hi parinde laut kar aane lage
paayega aakhir koii kab tak sukoon ghar ke baghair

kya guzarti hai juda hota hai jab lakht-e-jigar
kaun samjhega bhala ye dard dukhtar ke baghair

dar koii ho bas aqeedat se hai judna laazmi
dar-b-dar firta hai insaan nisbat-e-dar ke baghair

kuhna tahzeeb-o-riwaayat ke nishaan mitne lage
kaun pahchaanega in qabron ko patthar ke baghair

zindagi mein hai ahem kirdaar-e-qismat bhi kabhi
ba-hunar bhi be-hunar lagta muqaddar ke baghair

aabroo-rezii mein munsif aapka beta bhi tha
kahiye ab kya de sakoge faisla dar ke baghair

ab duaaein doon use ya bad-duaaen ai bashar
kar diya saiyad ne mujhko rihaa par ke baghair

हश्र सा बरपा है हर सू रोज़-ए-महशर के बग़ैर
बात तक करता न कोई तेग़-ओ-ख़ंजर के बग़ैर

इंक़िलाबी हौसला है पर वसीला कुछ नहीं
हैं गुलेलें हाथ में लेकिन हैं कंकर के बग़ैर

अब ये दिन दिखला रही हैं हमको फ़ाक़ा मस्तियाँ
थे कभी घर से परेशाँ और अब घर के बग़ैर

शाम होते ही परिंदे लौट कर आने लगे
पाएगा आख़िर कोई कब तक सुकूँ घर के बग़ैर

क्या गुज़रती है जुदा होता है जब लख़्त-ए-जिगर
कौन समझेगा भला ये दर्द दुख़्तर के बग़ैर

दर कोई हो बस अक़ीदत से है जुड़ना लाज़मी
दर-ब-दर फिरता है इन्साँ निस्बत-ए-दर के बग़ैर

कुहना तहज़ीब-ओ-रिवायत के निशाँ मिटने लगे
कौन पहचानेगा इन क़ब्रों को पत्थर के बग़ैर

ज़िन्दगी में है अहम किरदार-ए-क़िस्मत भी कभी
बा-हुनर भी बे-हुनर लगता मुक़द्दर के बग़ैर

आबरू-रेज़ी में मुंसिफ़ आपका बेटा भी था
कहिए अब क्या दे सकोगे फ़ैसला डर के बग़ैर

अब दुआएँ दूँ उसे या बद्दुआएँ ऐ 'बशर'
कर दिया सैयाद ने मुझको रिहा पर के बग़ैर

- Dharmesh bashar
2 Likes

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari