mumkin agar ho khwaab ka paikar taraashiye | मुमकिन अगर हो ख़्वाब का पैकर तराशिए - Dharmesh bashar

mumkin agar ho khwaab ka paikar taraashiye
sheeshon ko chhod deejie patthar taraashiye

jiski khamoshiyon pe khuda ka gumaan ho
aisa koii sanam koii dilbar taraashiye

sadiyon se zindagi ke labon pe jamee hai pyaas
patthar nichodiye koii saaghar taraashiye

is dasht mein bahut hai khayaal-e-saraab bhi
paani nahin to abr ka manzar taraashiye

is daur ko bhi chahiye irfaan-o-aagahi
is daur mein bhi koii payambar taraashiye

sahraa-e-zindagi ka muqaddar hai tishnagi
shabnam taraashiye ki samandar taraashiye

be-parda ho na jaaye kahin raaz-e-dil bashar
yaaron zara khayal ke bhi par taraashiye

मुमकिन अगर हो ख़्वाब का पैकर तराशिए
शीशों को छोड़ दीजिए पत्थर तराशिए

जिसकी ख़मोशियों पे ख़ुदा का गुमान हो
ऐसा कोई सनम कोई दिलबर तराशिए

सदियों से ज़िन्दगी के लबों पे जमी है प्यास
पत्थर निचोड़िए कोई साग़र तराशिए

इस दश्त में बहुत है ख़याल-ए-सराब भी
पानी नहीं तो अब्र का मंज़र तराशिए

इस दौर को भी चाहिए इरफ़ान-ओ-आगही
इस दौर में भी कोई पयंबर तराशिए

सहरा-ए-ज़िन्दगी का मुक़द्दर है तिश्नगी
शबनम तराशिए कि समंदर तराशिए

बे-पर्दा हो न जाए कहीं राज़-ए-दिल 'बशर'
यारों ज़रा ख़याल के भी पर तराशिए

- Dharmesh bashar
4 Likes

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari