lahja hi talkh-talkh ibaarat mein doob jaaye
vo shaayari na kar jo shikaayat mein doob jaaye
yun zindagi ka saaz jaraahat mein doob jaaye
jaise sada-e-amn bagaavat mein doob jaaye
raaton ka koii dost na din ka koii rafeeq
gham ka ghubaar jin kii muhabbat mein doob jaaye
dast-e-sawaal hote hain ab is qadar daraaz
har shakhs apni apni zaroorat mein doob jaaye
aisi bhi kya havas kii har ik roop mein dhalo
aaina jaise aks kii soorat mein doob jaaye
andaaz-e-shaairi pe tujhe naaz hai saba
lahja magar ghazal ka rivaayat mein doob jaaye
लहजा ही तल्ख़-तल्ख़ इबारत में डूब जाए
वो शाइरी न कर जो शिकायत में डूब जाए
यूँ ज़िन्दगी का साज़ जराहत में डूब जाए
जैसे सदा-ए-अम्न बग़ावत में डूब जाए
रातों का कोई दोस्त न दिन का कोई रफ़ीक़
ग़म का ग़ुबार जिन की मुहब्बत में डूब जाए
दस्त-ए-सवाल होते हैं अब इस क़दर दराज़
हर शख़्स अपनी अपनी ज़रूरत में डूब जाए
ऐसी भी क्या हवस की हर इक रूप में ढलो
आईना जैसे अक्स की सूरत में डूब जाए
अन्दाज़-ए-शाइरी पे तुझे नाज़ है 'सबा'
लहजा मगर ग़ज़ल का रिवायत में डूब जाए
As you were reading Shayari by divya 'sabaa'
our suggestion based on divya 'sabaa'
As you were reading undefined Shayari