jang jaari hai darmiyaan mein kya
sharm hai chadar-e-amaan mein kya
be-takalluf mujhe bura bhi kaho
bas qaside padhoge shaan mein kya
ek hi shakhs vo bhi na-ma'qul
kuchh nahin meri daastaan mein kya
chhodta sher ab kamaan se main
teer rakhne the is kamaan mein kya
mujh ko dikhta nahin hai door ka ab
vo bhi baithi hai haziraan mein kya
kheenchti rahti ho meri baanhe
lutf hai koii kheench-taan mein kya
sun ke batlaana daastaan-e-jun
jaun dikhte hain daastaan mein kya
जंग जारी है दरमियान में क्या
शर्म है चादर-ए-अमान में क्या
बे-तकल्लुफ़ मुझे बुरा भी कहो
बस क़सीदे पढ़ोगे शान में क्या
एक ही शख़्स वो भी ना-मा'क़ूल
कुछ नहीं मेरी दास्तान में क्या
छोड़ता शेर अब कमान से मैं
तीर रखने थे इस कमान में क्या
मुझ को दिखता नहीं है दूर का अब
वो भी बैठी है हाज़िरान में क्या
खींचती रहती हो मिरी बाँहें
लुत्फ़ है कोई खींच-तान में क्या
सुन के बतलाना दास्तान-ए-जून
जौन दिखते हैं दास्तान में क्या
As you were reading Shayari by June Sahab
our suggestion based on June Sahab
As you were reading undefined Shayari