boo-e-mohabbat ko jahaan mein fail jaane do zara
ye titliyon ko phir gul-e-nargis pe aane do zara
kab se shab-e-ummeed hoon deedaar kii khaatir tiri
ik baar to bande ko haal-e-dil sunaane do zara
ab dekhna hai ye samandar kis taraf le jaata hai
lehron kii baahon mein meri kashti ko aane do zara
jo muflisi kii aad mein bachpan ko bhule baithe hain
taalaab mein phirse unhen gote lagaane do zara
kis ne kaha phirse mohabbat kii nahin ja sakti hai
ye gham-zada logon ko phirse dil lagaane do zara
बू-ए-मोहब्बत को जहाँ में फ़ैल जाने दो ज़रा
ये तितलियों को फिर गुल-ए-नर्गिस पे आने दो ज़रा
कब से शब-ए-उम्मीद हूँ दीदार की ख़ातिर तिरी
इक बार तो बंदे को हाल-ए-दिल सुनाने दो ज़रा
अब देखना है ये समंदर किस तरफ ले जाता है
लहरों की बाहों में मिरी कश्ती को आने दो ज़रा
जो मुफ़्लिसी की आड़ में बचपन को भूले बैठे हैं
तालाब में फिरसे उन्हें गोते लगाने दो ज़रा
किस ने कहा फिरसे मोहब्बत की नहीं जा सकती है
ये ग़म-ज़दा लोगों को फिरसे दिल लगाने दो ज़रा
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari