hua jo bas mein to lafzon ko hi nashtar banaayenge | हुआ जो बस में तो लफ़्ज़ों को ही नश्तर बनाएँगे

  - Harsh Kumar Bhatnagar

hua jo bas mein to lafzon ko hi nashtar banaayenge
khuda rahmat karega aur phir neze chalaayenge

ghazalkaari to ik zariya hai apna gham sunaane ka
hamaare haath mein likkha hai ham rona sikhaayenge

kahaanikaar ne to likh diye jumle judaai ke
use kya hi pata tha log dil pe chot khaayenge

hamaari nasl mein aisi kharaabi hai ki lagta hai
hamaare baad ke ladke to ghar ko bech khaayenge

हुआ जो बस में तो लफ़्ज़ों को ही नश्तर बनाएँगे
ख़ुदा रहमत करेगा और फिर नेज़े चलाएँगे

ग़ज़लकारी तो इक ज़रिया है अपना ग़म सुनाने का
हमारे हाथ में लिक्खा है हम रोना सिखाएँगे

कहानीकार ने तो लिख दिए जुमले जुदाई के
उसे क्या ही पता था लोग दिल पे चोट खाएँगे

हमारी नस्ल में ऐसी ख़राबी है कि लगता है
हमारे बाद के लड़के तो घर को बेच खाएँगे

  - Harsh Kumar Bhatnagar

More by Harsh Kumar Bhatnagar

As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar

Similar Writers

our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari