jo ho sake to kabhi naqsh-e-paa talash karein
bichhad raha hai jo ham usko kya talash karein
ye zindagi bhi musalsal hi ghaav de rahi hai
chhupaayein khud ko ya koii dua talash karein
vo har qadam pe tire saath chal na paayega
safar pe jaate hue qaafila talash karein
vo shayari karein jo khudkushi kii sochte hain
jo kar na paaye to phir kahkaha talash karein
जो हो सके तो कभी नक़्श-ए-पा तलाश करें
बिछड़ रहा है जो हम उसको क्या तलाश करें
ये ज़िंदगी भी मुसलसल ही घाव दे रही है
छिपाएँ ख़ुद को या कोई दुआ तलाश करें
वो हर क़दम पे तिरे साथ चल न पाएगा
सफ़र पे जाते हुए क़ाफ़िला तलाश करें
वो शायरी करें जो ख़ुदकुशी की सोचते हैं
जो कर न पाएँ तो फिर कहकहा तलाश करें
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari