kuchh baat kah raha hoon mere paas kaan kar
ye dil lagaane waalon ko tu saavdhaan kar
gar hai ghalat nahin to zamaane se kyun darein
mehfil mein baith kar tu khushi se gumaan kar
karmon ka fal zaroor milega tujhe kabhi
bas aankh band kar ke khushi se tu daan kar
maa baap daant de to unhen chhodate nahin
bas ik dafa tu krishna kii baaton ka dhyaan kar
main maut chahta hoon sar-e-bazm mein kabhi
ye harsh kii tu aakhiri khwaahish ka maan kar
कुछ बात कह रहा हूँ मिरे पास कान कर
ये दिल लगाने वालों को तू सावधान कर
गर है ग़लत नहीं तो ज़माने से क्यों डरें
महफ़िल में बैठ कर तू ख़ुशी से गुमान कर
कर्मों का फल ज़रूर मिलेगा तुझे कभी
बस आँख बंद कर के ख़ुशी से तू दान कर
माँ बाप डाँट दे तो उन्हें छोड़ते नहीं
बस इक दफ़ा तू कृष्ण की बातों का ध्यान कर
मैं मौत चाहता हूँ सर-ए-बज़्म में कभी
ये 'हर्ष' की तू आख़िरी ख़्वाहिश का मान कर
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari