rumoos-e-ishq ziyaada chhupa nahin sakte | रुमूज़-ए-इश्क़ ज़ियादा छिपा नहीं सकते

  - Harsh Kumar Bhatnagar

rumoos-e-ishq ziyaada chhupa nahin sakte
magar ye raaz sabhi ko bata nahin sakte

jo kaar-e-ishq se baahar nikal nahin paaye
vo mehr-o-maah ke sapne saja nahin sakte

hamein bata koii tadbeer bhool jaane kii
yun roz roz to aansu baha nahin sakte

udaasi fenk di umr-e-ravaan ke pairo'n mein
bichhadne waale mujhe ab rula nahin sakte

रुमूज़-ए-इश्क़ ज़ियादा छिपा नहीं सकते
मगर ये राज़ सभी को बता नहीं सकते

जो कार-ए-इश्क़ से बाहर निकल नहीं पाए
वो मेहर-ओ-माह के सपने सजा नहीं सकते

हमें बता कोई तदबीर भूल जाने की
यूँ रोज़ रोज़ तो आँसू बहा नहीं सकते

उदासी फेंक दी उम्र-ए-रवाँ के पैरों में
बिछड़ने वाले मुझे अब रुला नहीं सकते

  - Harsh Kumar Bhatnagar

More by Harsh Kumar Bhatnagar

As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar

Similar Writers

our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari