sada aati hai jab awaaz-e-pa kii
main khidki khol deta hoon ana kii
khushi se daan karta rah jahaan mein
tu kyun hi fikr karta hai haya kii
badan ko odh loonga main ana se
zaroorat hai nahin mujhko qaba kii
bichhadne hi laga tha jab tu mujhse
khuda ke paas ja ke phir dua kii
सदा आती है जब आवाज़-ए-पा की
मैं खिड़की खोल देता हूँ अना की
ख़ुशी से दान करता रह जहाँ में
तू क्यों ही फ़िक्र करता है हया की
बदन को ओढ़ लूँगा मैं अना से
ज़रूरत है नहीं मुझको क़बा की
बिछड़ने ही लगा था जब तू मुझसे
ख़ुदा के पास जा के फिर दुआ की
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari