saza ke waqt hamein sar-nigoon ho jaana tha
vo isliye ki zamaane ko had mein laana tha
jahaan pe goonj uthe har sada wahin pe mujhe
parinde saath mein rakhne the ghar basaana tha
ye aasmaan ye parinde ye phool ye duniya
sivaae ishq sabhi ko ghazal mein laana tha
bina malaal kiye zindagi bhi kat rahi hai
main sochta hoon kisi se to dil lagana tha
सज़ा के वक़्त हमें सर-निगूँ हो जाना था
वो इसलिए कि ज़माने को हद में लाना था
जहाँ पे गूँज उठे हर सदा वहीं पे मुझे
परिंदे साथ में रखने थे घर बसाना था
ये आसमाँ ये परिंदे ये फूल ये दुनिया
सिवाए इश्क़ सभी को ग़ज़ल में लाना था
बिना मलाल किए ज़िंदगी भी कट रही है
मैं सोचता हूँ किसी से तो दिल लगाना था
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari