ye na jaane phir kahaan se chal ke aaya hai sukoot
maine bhi izzat se phir sar pe bithaaya hai sukoot
jab kisi ne poocha teri yaadon ka hai kya kiya
apni aankhon se baha kar tab dikhaaya hai sukoot
isliye khwaahish nahin kii maine dastar-khwaan kii
badle vo roti ke is thaali mein laaya hai sukoot
ye zamaana sochta tha mujhko koii gham nahin
toote dil ko saamne rakh kar dikhaaya hai sukoot
is shajar kii daliyaan veeraan sii hone lagin
in parindon kii nazar mein jab se aaya hai sukoot
ये न जाने फिर कहाँ से चल के आया है सुकूत
मैंने भी इज़्ज़त से फिर सर पे बिठाया है सुकूत
जब किसी ने पूछा तेरी यादों का है क्या किया
अपनी आँखों से बहा कर तब दिखाया है सुकूत
इसलिए ख़्वाहिश नहीं की मैंने दस्तर-ख़्वान की
बदले वो रोटी के इस थाली में लाया है सुकूत
ये ज़माना सोचता था मुझको कोई ग़म नहीं
टूटे दिल को सामने रख कर दिखाया है सुकूत
इस शजर की डालियाँ वीरान सी होने लगीं
इन परिंदों की नज़र में जब से आया है सुकूत
As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar
our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar
As you were reading undefined Shayari