nahin ham tum samajhte khaamoshi ke gham | नहीं हम तुम समझते ख़ामुशी के ग़म

  - Manish watan

nahin ham tum samajhte khaamoshi ke gham
tabhi to badh rahe hain har kisi ke gham

nahin aata kisi ke kaam koii ab
yahi to hain miyaan bas zindagi ke gham

jise paane ki khaatir zindagi kho di
mujhe ab tak sataate hain usi ke gham

yahan koii na koii roz marta hai
nahin hote yahan kam khud-kushi ke gham

mohabbat hi miyaan ik dukh nahin hai bas
hazaaron hain yahan par aadmi ke gham

नहीं हम तुम समझते ख़ामुशी के ग़म
तभी तो बढ़ रहे हैं हर किसी के ग़म

नहीं आता किसी के काम कोई अब
यही तो हैं मियाँ बस ज़िंदगी के ग़म

जिसे पाने कि ख़ातिर ज़िंदगी खो दी
मुझे अब तक सताते हैं उसी के ग़म

यहाँ कोई न कोई रोज़ मरता है
नहीं होते यहाँ कम ख़ुद-कुशी के ग़म

मोहब्बत ही मियाँ इक दुख नहीं है बस
हज़ारों हैं यहाँ पर आदमी के ग़म

  - Manish watan

More by Manish watan

As you were reading Shayari by Manish watan

Similar Writers

our suggestion based on Manish watan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari