humsafar ke vaaste bhi ek to itwaar. ho | हमसफ़र के वास्ते भी एक तो इतवार हो

  - Manohar Shimpi

humsafar ke vaaste bhi ek to itwaar. ho
ghoomna bhi saath khaana bhi kidhar har baar ho

ai muhabbat bhi bade hi kaam kii to cheez hai
phir dilon-dil mein ubharta dekh hi lo pyaar ho

ek din ka hai nahin qissa mere yaaron yahi
roz jeena aur marna hijr mein dushwaar ho

dhoondhta hi tha jise mai dar-b-dar hi phir kahin
dil machalta hai mera hi jab kabhi deedaar ho

kaise dariya jashn koii ab manaae vasl ka
jab samandar aur saahil door hi us-paar ho

ai manohar ab adoo koii bachega kaise phir
haath fauji ke badi hi khaas jab talwaar ho

हमसफ़र के वास्ते भी एक तो इतवार हो
घूमना भी साथ खाना भी किधर हर बार हो

ऐ मुहब्बत भी बड़े ही काम की तो चीज़ है
फिर दिलों-दिल में उभरता देख ही लो प्यार हो

एक दिन का है नहीं क़िस्सा मेरे यारों यही
रोज़ जीना और मरना हिज्र में दुश्वार हो

ढूँढता ही था जिसे मै दर-ब-दर ही फिर कहीं
दिल मचलता है मेरा ही जब कभी दीदार हो

कैसे दरिया जश्न कोई अब मनाए वस्ल का
जब समंदर और साहिल दूर ही उस-पार हो

ऐ 'मनोहर' अब अदू कोई बचेगा कैसे फिर
हाथ फ़ौजी के बड़ी ही ख़ास जब तलवार हो

  - Manohar Shimpi

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari