ishq ke maqtal chalo zakham-e-jigar ko dekhte hain
log baazigaar ke kaise ab hunar ko dekhte hain
khaas hi rashk-e-qamar jab ittifaqan hi dikhe to
chhod ke sab kaam us ke ik nazar ko dekhte hain
aa gaye milne akela jaan lo pehchaan bhi lo
is sadi mein aise hi sab hum-safar ko dekhte hain
raah chalte marhale bhi khoob aate aur jaate
baith ke kuchh log tanhaa raahguzaar ko dekhte hain
kaash nama-bar sabhi ko raaz khat ke bol dete
dil-lagi mein phir izafe ke asar ko dekhte hain
hum-nasheen ke saath ho to khauf kya parwaah kis kii
ishqzade tab idhar ya phir udhar ko dekhte hain
mehfilon ka lutf kitne log lete hain manohar
khaas hoor-e-ain ho to us nazar ko dekhte hain
इश्क़ के मक़्तल चलो ज़ख़्म-ए-जिगर को देखते हैं
लोग बाज़ीगर के कैसे अब हुनर को देखते हैं
ख़ास ही रश्क-ए-क़मर जब इत्तिफ़ाक़न ही दिखे तो
छोड़ के सब काम उस के इक नज़र को देखते हैं
आ गए मिलने अकेले जान लो पहचान भी लो
इस सदी में ऐसे ही सब हम-सफ़र को देखते हैं
राह चलते मरहले भी ख़ूब आते और जाते
बैठ के कुछ लोग तन्हा रहगुज़र को देखते हैं
काश नामा-बर सभी को राज़ ख़त के बोल देते
दिल-लगी में फिर इज़ाफ़े के असर को देखते हैं
हम-नशीं के साथ हो तो ख़ौफ़ क्या परवाह किस की
इश्क़ज़ादे तब इधर या फिर उधर को देखते हैं
महफ़िलों का लुत्फ़ कितने लोग लेते हैं 'मनोहर'
ख़ास हूर-ए-ऐन हो तो उस नज़र को देखते हैं
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari