yaqeen karo dastaras hamesha har ek ko aajma rahi hai | यक़ीं करो दस्तरस हमेशा हर एक को आजमा रही है

  - Manohar Shimpi

yaqeen karo dastaras hamesha har ek ko aajma rahi hai
zameen se phir aasmaan ko chhoone naya hi aalam bana rahi hai

bade ajeeb-o-ghareeb thode hi dost hote koii hamaare
ye be-basi dosti mein kyun phir se faasila hi bana rahi hai

shabaab bazm-e-adab mein bhi hai wahan nigahbaan bhi hote
ki tishnagi khwahishon se kaise ye bazm hi phir saja rahi hai

kabhi junoon tha mujhe bhi us hi gali se aawaargi se yaaro
gali nishaan ab dikha rahi hai vo raasta bhi bata rahi hai

agar gunahgaar hi badhe to vo ehtiyaatan kahaan badhenge
kai dinon se mujhe manohar ye baat dil ko sata rahi hai

यक़ीं करो दस्तरस हमेशा हर एक को आजमा रही है
ज़मीं से फिर आसमाँ को छूने नया ही आलम बना रही है

बड़े अजीब-ओ-ग़रीब थोड़े ही दोस्त होते कोई हमारे
ये बे-बसी दोस्ती में क्यूँ फिर से फ़ासिला ही बना रही है

शबाब बज़्म-ए-अदब में भी है वहाँ निगहबान भी होते
कि तिश्नगी ख़्वाहिशों से कैसे ये बज़्म ही फिर सजा रही है

कभी जुनूँ था मुझे भी उस ही गली से आवारगी से यारो
गली निशाँ अब दिखा रही है वो रास्ता भी बता रही है

अगर गुनहगार ही बढ़े तो वो एहतियातन कहाँ बढ़ेंगे
कई दिनों से मुझे 'मनोहर' ये बात दिल को सता रही है

  - Manohar Shimpi

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari