tabsira kaun de zaroori hai
chaaploosi to jee-huzoori hai
khoob hi haath mein lakeeren hain
chaah phir bhi hui na poori hai
ek ummeed khwaah kii hoti
isliye ishq bhi zaroori hai
paas tasveer ek teri hai
door rah ke dikhe vo doori hai
baat chhoti badi rahe dil mein
phir dil-o-dil lage adhuri hai
तब्सिरा कौन दे ज़रूरी है
चापलूसी तो जी-हुज़ूरी है
ख़ूब ही हाथ में लकीरें हैं
चाह फिर भी हुई न पूरी है
एक उम्मीद ख़्वाह की होती
इसलिए इश्क़ भी ज़रूरी है
पास तस्वीर एक तेरी है
दूर रह के दिखे वो दूरी है
बात छोटी बड़ी रहे दिल में
फिर दिल-ओ-दिल लगे अधूरी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading DP Shayari Shayari