dil ke sehra mein utha toofan karaara dekhta
tez aandhi mein kahaan se phir ujaara dekhta
hijr mein bhi kaun haal-e-dil kisi ko bolta
saath milta to na unko be-sahaara dekhta
zindagi mein teergi-e-shab sada hi haarta
ye na hota to kahaan koi ujaara dekhta
roz ashk-e-sham'a ko bhi to jalana hai yahan
zulmat-e-shab mein kabhi phir kya sahaara dekhta
kaun ab haalaat ko kis ke samajhta hai yahan
chand rupyo mein kisi ka kya guzaara dekhta
zindagi mein koi walid ko kisi ke saamne
haan kabhi bhi kashmakash se hi na haara dekhta
koi aandhi mahz aati to manohar kya kare
ek maanjhi door se apna kinaara dekhta
दिल के सहरा में उठा तूफ़ाँ करारा देखता
तेज़ आंँधी में कहाँ से फिर उजारा देखता
हिज्र में भी कौन हाल-ए-दिल किसी को बोलता
साथ मिलता तो न उनको बे-सहारा देखता
ज़िंदगी में तीरगी-ए-शब सदा ही हारता
ये न होता तो कहाँ कोई उजारा देखता
रोज़ अश्क-ए-शम्अ को भी तो जलाना है यहाँ
ज़ुल्मत-ए-शब में कभी फिर क्या सहारा देखता
कौन अब हालात को किस के समझता है यहाँ
चंद रुपयों में किसी का क्या गुज़ारा देखता
ज़िंदगी में कोई वालिद को किसी के सामने
हाँ कभी भी कश्मकश से ही न हारा देखता
कोई आंँधी महज़ आती तो "मनोहर" क्या करे
एक माँझी दूर से अपना किनारा देखता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Hijrat Shayari Shayari