nadi mein dost sab milke nahaana chhod aaye hain | नदी में दोस्त सब मिलके नहाना छोड़ आए हैं - Manohar Shimpi

nadi mein dost sab milke nahaana chhod aaye hain
nahaate tairte paani udaana chhod aaye hain

dil-o-dil ranj jab hota nahin tab gungunaate sab
safar nagmon bhara yaaron taraana chhod aaye hain

khafa hona juda hona sabhi ab yaad aata hain
jo roothe the unhen dil se manana chhod aaye hain

musalsal ik nadi pashchim disha kii or bahti hai
wahaan par doston qissa puraana chhod aaye hain

kai lahren dhadkati hain purane gaah par vaise
muhabbat ke liye saara zamaana chhod aaye hain

yahan kuch kar guzarne ke usi ik aarzoo mein phir
unhen har baar milne ka bahaana chhod aaye hain

yahan phir ghar basaane kii usi chaahat tamannaa mein
rafeeqon sang phir hansna hansaana chhod aaye hain

adhoore khwaab jo poore na kar paaye kabhi jaise
nadi mein doston kashti chalaana chhod aaye hain

humein phir gaav ka sab kuch bahut hi yaad aata hain
khule mein khelna milke nahaana chhod aaye hain

manohar mat bataana ab wahan kya chhod aaye hain
bataayein kya bataayein hum zamaana chhod aaye hain

नदी में दोस्त सब मिलके नहाना छोड़ आए हैं
नहाते तैरते पानी उड़ाना छोड़ आए हैं

दिल-ओ-दिल रंज जब होता नहीं तब गुनगुनाते सब
सफ़र नग़्मों भरा यारों तराना छोड़ आए हैं

ख़फ़ा होना जुदा होना सभी अब याद आता हैं
जो रूठे थे उन्हें दिल से मनाना छोड़ आए हैं

मुसलसल इक नदी पश्चिम दिशा की ओर बहती है
वहांँ पर दोस्तों क़िस्सा पुराना छोड़ आए हैं

कई लहरें धड़कती हैं पुराने गाह पर वैसे
मुहब्बत के लिए सारा ज़माना छोड़ आए हैं

यहाँ कुछ कर गुज़रने के उसी इक आरज़ू में फिर
उन्हें हर बार मिलने का बहाना छोड़ आए हैं

यहाँ फिर घर बसाने की उसी चाहत तमन्ना में
रफ़ीक़ों संग फिर हँसना हँसाना छोड़ आए हैं

अधूरे ख़्वाब जो पूरे न कर पाए कभी जैसे
नदी में दोस्तों कश्ती चलाना छोड़ आए हैं

हमें फिर गाँव का सब कुछ बहुत ही याद आता हैं
खुले में खेलना मिलके नहाना छोड़ आए हैं

"मनोहर" मत बताना अब वहाँ क्या छोड़ आए हैं
बताऍं क्या बताऍं हम ज़माना छोड़ आए हैं

- Manohar Shimpi
1 Like

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari