jeete hue ulfat na bas mein hi rahe | जीते हुए उल्फ़त न बस में ही रहे

  - Manohar Shimpi

jeete hue ulfat na bas mein hi rahe
ai zindagi mauze-nafas mein hi rahe

azaad jab insaan ghulaami se hua
phir kyun parinda ab qafas mein hi rahe

poora hamein ham par bharosa hain tabhi
apna koii kyun phir taras mein hi rahe

manzil agar jab fath sab mil ke karein
phir jashn bhi ab ke baras mein hi rahe

mere khuda sab par nawaazish jab karein
insaan koii kyun phir havas mein hi rahe

जीते हुए उल्फ़त न बस में ही रहे
ऐ ज़िंदगी मौजे-नफ़स में ही रहे

आज़ाद जब इंसाँ ग़ुलामी से हुआ
फिर क्यूँ परिंदा अब क़फ़स में ही रहे

पूरा हमें हम पर भरोसा हैं तभी
अपना कोई क्यूँ फिर तरस में ही रहे

मंजिल अगर जब फ़त्ह सब मिल के करें
फिर जश्न भी अब के बरस में ही रहे

मेरे ख़ुदा सब पर नवाज़िश जब करें
इंसाँ कोई क्यूँ फिर हवस में ही रहे

  - Manohar Shimpi

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari