kaise aab-e-talkh bahte the na jaane mere hi
ashq se ab yaad aate hai zamaane mere hi
dekh ke rakht-e-safar hi dard hota kyun mujhe
saath lekin hai diya ahad-e-wafaa ne mere hi
ek tinka hoon hawa se hi kahin udta rahoon
aaj hai kal ke kahaan hai phir thikaane mere hi
is jahaan mein ajnabi sa hi lage hai ab mujhe
kyun kiya be-dakhil mujhko phir khuda ne mere hi
kaash koii baat to sunta manohar vo kabhi
phir tah-e-dil se pukaara hai wafa ne mere hi
कैसे आब-ए-तल्ख़ बहते थे न जाने मेरे ही
अश्क़ से अब याद आते है ज़माने मेरे ही
देख के रख़्त-ए-सफ़र ही दर्द होता क्यूँ मुझे
साथ लेकिन है दिया अहद-ए-वफ़ा ने मेरे ही
एक तिनका हूँ हवा से ही कहीं उड़ता रहूँ
आज है कल के कहाँ है फिर ठिकाने मेरे ही
इस जहाँ में अजनबी सा ही लगे है अब मुझे
क्यों किया बे-दख़्ल मुझको फिर ख़ुदा ने मेरे ही
काश कोई बात तो सुनता 'मनोहर' वो कभी
फिर तह-ए-दिल से पुकारा है वफ़ा ने मेरे ही
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari