yaad hi yaad aati rahi raat bhar
yaad bhi kya sataati rahi raat bhar
guftagoo jo hui thi kabhi vasl kii
khwaab vo hi dikhaati rahi raat bhar
is qadar hijr mein ham tadpate rahe
baat vo dil dukhaati rahi raat bhar
hijr mein vasl ka soch ke soch ke
aansuon ko bahaati rahi raat bhar
rooh hi shaam-e-gham mein bhatkati rahi
phir wahi gungunaati rahi raat bhar
याद ही याद आती रही रात भर
याद भी क्या सताती रही रात भर
गुफ़्तगू जो हुई थी कभी वस्ल की
ख़्वाब वो ही दिखाती रही रात भर
इस क़दर हिज्र में हम तड़पते रहे
बात वो दिल दुखाती रही रात भर
हिज्र में वस्ल का सोच के सोच के
आँसुओं को बहाती रही रात भर
रूह ही शाम-ए-ग़म में भटकती रही
फिर वही गुनगुनाती रही रात भर
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari