main akela hi zamaane ke liye kaafi hoon | मैं अकेला ही ज़माने के लिए काफ़ी हूँ

  - Nityanand Vajpayee

main akela hi zamaane ke liye kaafi hoon
dukhti rag iski dabane ke liye kaafi hoon

tum samajhte ho ki naadaan sa aashiq hoon main
ishq mein khud ko mitaane ke liye kaafi hoon

vaise auqaat meri chhoti hai beshak lekin
tera har naaz uthaane ke liye kaafi hoon

zulm gar koii shahenshah bhi tujh par dhaaye
takht uska main girane ke liye kaafi hoon

chal ye maana ki tu dariya hai ghamon ka to phir
main samandar hoon samaane ke liye kaafi hoon

mulq ko jo bhi mitaane kii hain saazish mein unhen
unki auqaat pe laane ke liye kaafi hoon

nitya main shams nahin hoon ki zamaane bhar ko
raushni tujh ko dikhaane ke liye kaafi hoon

मैं अकेला ही ज़माने के लिए काफ़ी हूँ
दुखती रग इसकी दबाने के लिए काफ़ी हूँ

तुम समझते हो कि नादान सा आशिक़ हूँ मैं
इश्क़ में ख़ुद को मिटाने के लिए काफ़ी हूँ

वैसे औक़ात मेरी छोटी है बेशक लेकिन
तेरा हर नाज़ उठाने के लिए काफ़ी हूँ

ज़ुल्म गर कोई शहंशाह भी तुझ पर ढाए
तख़्त उसका मैं गिराने के लिए काफ़ी हूँ

चल ये माना कि तू दरिया है ग़मों का तो फिर
मैं समंदर हूँ समाने के लिए काफ़ी हूँ

मुल्क़ को जो भी मिटाने की हैं साज़िश में उन्हें
उनकी औक़ात पे लाने के लिए काफ़ी हूँ

'नित्य' मैं शम्स नहीं हूँ कि ज़माने भर को
रौशनी तुझ को दिखाने के लिए काफ़ी हूँ

  - Nityanand Vajpayee

More by Nityanand Vajpayee

As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee

Similar Writers

our suggestion based on Nityanand Vajpayee

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari