kabhi jhoote sahaare gham mein raas aaya nahin karte
ye baadal ud ke aate hain magar saaya nahin karte
yahi kaante to kuchh khuddaar hain sehan-e-gulistaan mein
ki shabnam ke liye daaman to failaaya nahin karte
vo le len gosha-e-daaman mein apne ya falak chun le
meri aankhon mein aansu baar baar aaya nahin karte
saleeqa jinko hota hai gham-e-dauraan mein jeene ka
vo yun sheeshe ko har patthar se takraaya nahin karte
jo qeemat jaante hain gard-e-raah-e-zindagaani kii
vo thukraai hui duniya ko thukraaya nahin karte
qadam may-khaana mein rakhna bhi kaar-e-pukhkta-kaarain hai
jo paimaana uthaate hain vo tharraaya nahin karte
nushoor ahl-e-zamaana baat poocho to larzate hain
vo sha'ir hain jo haq kehne se kataaaya nahin karte
कभी झूटे सहारे ग़म में रास आया नहीं करते
ये बादल उड़ के आते हैं मगर साया नहीं करते
यही काँटे तो कुछ ख़ुद्दार हैं सेहन-ए-गुलिस्ताँ में
कि शबनम के लिए दामन तो फैलाया नहीं करते
वो ले लें गोशा-ए-दामन में अपने या फ़लक चुन ले
मिरी आँखों में आँसू बार बार आया नहीं करते
सलीक़ा जिनको होता है ग़म-ए-दौराँ में जीने का
वो यूँ शीशे को हर पत्थर से टकराया नहीं करते
जो क़ीमत जानते हैं गर्द-ए-राह-ए-ज़िंदगानी की
वो ठुकराई हुई दुनिया को ठुकराया नहीं करते
क़दम मय-ख़ाना में रखना भी कार-ए-पुख़्ता-काराँ है
जो पैमाना उठाते हैं वो थर्राया नहीं करते
'नुशूर' अहल-ए-ज़माना बात पूछो तो लरज़ते हैं
वो शा'इर हैं जो हक़ कहने से कतराया नहीं करते
As you were reading Shayari by Nushur Wahidi
our suggestion based on Nushur Wahidi
As you were reading undefined Shayari