nayi duniya mujassam dilkashi maaloom hoti hai | नई दुनिया मुजस्सम दिलकशी मालूम होती है

  - Nushur Wahidi

nayi duniya mujassam dilkashi maaloom hoti hai
magar is husn mein dil kii kami maaloom hoti hai

hijaabo mein naseem-e-zindagi maaloom hoti hai
kisi daaman kii halki tharthari maaloom hoti hai

meri raaton kii khunkee hai tire gesoo-e-pur-kham mein
ye badhti chaanv bhi kitni ghani maaloom hoti hai

vo achha tha jo beda mauj ke rehm o karam par tha
khizr aaye to kashti doobti maaloom hoti hai

ye dil kii tishnagi hai ya nazar kii pyaas hai saaqi
har ik bottle jo khaali hai bhari maaloom hoti hai

dam-e-aakhir mudawa-e-dil-e-beemaar kya ma'ni
mujhe chhodo ki mujh ko neend sii maaloom hoti hai

diya khaamosh hai lekin kisi ka dil to jalta hai
chale aao jahaan tak raushni maaloom hoti hai

naseem-e-zindagi ke soz se murjhaai jaati hai
ye hasti phool kii ik pankhudi maaloom hoti hai

jidhar dekha nushoor ik aalam-e-deegar nazar aaya
museebat mein ye duniya ajnabi maaloom hoti hai

नई दुनिया मुजस्सम दिलकशी मालूम होती है
मगर इस हुस्न में दिल की कमी मालूम होती है

हिजाबों में नसीम-ए-ज़िंदगी मालूम होती है
किसी दामन की हल्की थरथरी मालूम होती है

मिरी रातों की ख़ुनकी है तिरे गेसू-ए-पुर-ख़म में
ये बढ़ती छाँव भी कितनी घनी मालूम होती है

वो अच्छा था जो बेड़ा मौज के रहम ओ करम पर था
ख़िज़र आए तो कश्ती डूबती मालूम होती है

ये दिल की तिश्नगी है या नज़र की प्यास है साक़ी
हर इक बोतल जो ख़ाली है भरी मालूम होती है

दम-ए-आख़िर मुदावा-ए-दिल-ए-बीमार क्या मअ'नी
मुझे छोड़ो कि मुझ को नींद सी मालूम होती है

दिया ख़ामोश है लेकिन किसी का दिल तो जलता है
चले आओ जहाँ तक रौशनी मालूम होती है

नसीम-ए-ज़िंदगी के सोज़ से मुरझाई जाती है
ये हस्ती फूल की इक पंखुड़ी मालूम होती है

जिधर देखा 'नुशूर' इक आलम-ए-दीगर नज़र आया
मुसीबत में ये दुनिया अजनबी मालूम होती है

  - Nushur Wahidi

More by Nushur Wahidi

As you were reading Shayari by Nushur Wahidi

Similar Writers

our suggestion based on Nushur Wahidi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari